Sunday, April 20, 2008

PAAN,CHAALIA ,GUTKA KHANAI KAI NUQSANAAT










ZABAN KA CANCER
Zaban per qudrati tor per makhsoos zarrat hotai hain jin main qowwat-e- zaiqa hoti hai inhin zarrat kai zariyai zaban ki nok sai mithas ka or zaban kai beech sai karwahat or namak wagaira ka zaiqa maloom hota hai . Paan , chalia gutka mainpori ka zyada istimal in qudrati zarrat ka khatima ker daita hai jis kai sabab khanai peenai ka zaiqa or thnda garam ka pata nahin chalta or akhir kaar cancer hojaata hai or medical mai is ka wahid ilaj zaban kaat di jaati hai

Honton ka cancer pehlai 40 ta 60 baras ki umar mai hota tha ab 10-20 saal mai bhi honai laga hai

MAUN KAI CANCER KI ALAAMAAAT

Pehlai zaban ka bahar nikalna band ho jata hai , mun sai badboo aati hai masorohon sai khoon nikalta hai bolnai or khanai peenai mai takleef hoti hai waqt sai pehlai dant girna band ho jatai hain


NOTE: Choona jo mun ko phaar sakta hai wo pait mai jaa ker kya hashar kerta hoga

GUTKA KYA HAI

Gutka to is sai bhi zyada khatar nak hai is mai gali sari cheezain daali jati hain

mairai nazdeek jo log yai cheezain kha raihain hai wo darasal meetha zahar kha rahai hain
kya hu yai cheezain chor nahin saktai.

AIK TAJARBA AAP KHUD GHAR PER KERNA

mairai aik dost nai aik tajarba kya us nai aik raat gutka lia us ko paani mai daal diya or us kai saat aik steel ka erazer(TREAT)daaal diya laikin jab subha hui to erazer gaib tha
pyaarai doston agar aap apni zindagi bari achi guzarni chahtai ho plz plz plz plz plz yai sab cheezain chor do or aik dam sai chor nahin saktai to kam to ker saktai ho ab mai pic share karooon ga jis ko daikh ker aap khud soochna .
mai tasaweer ko publish nahin kersakta agar kisi ko tasweer daikhni ho to google kai search bar mai mouth cancer likh ker daikh saktai hain



UMAIR